kuch tukde jod raha hu
na jaane kyu ye tasveer adhoori lagti hai
kuch bikhre huye hai
kuch kho chuke hai................
bas inhi ko khoj raha hu...
rang bharne ke liye haath utha to
syaahi bhi kaali thi.....
kuch khoye hue rang dhoond raha hu...
chand lamho ki chhaap liye
ek umar samet raha hu....
bas yu hi apni dhun mai besudh
tukde jod raha hu.........
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
3 comments:
ye bikhre the, bikre hain, inhe bikhra hi rehne de
ye tukde jo kehte hain, afsana inhe kehne de
tasveer agar ho zinda, yeh tukde mar jaayenge
ab bikhre se dikhte hain, fir sach mein bikhar jaayenge
tasveer ka poora hona, tukdon ki qurbani hai
tasveer ke har tukde ki hasti kisne jaani hai
jeevan gar poora jeena hai, tukdon mein jeena seekho...
sampoorn, sudridh, sundar jeevan, kabhi mila nahi kisi ko
shobhit
Subhaan allah meri jaan...... Chek outh the otherrr one too
love the depths with which u write....
Post a Comment