Monday, September 3, 2007

Tukde

kuch tukde jod raha hu
na jaane kyu ye tasveer adhoori lagti hai
kuch bikhre huye hai
kuch kho chuke hai................
bas inhi ko khoj raha hu...

rang bharne ke liye haath utha to
syaahi bhi kaali thi.....
kuch khoye hue rang dhoond raha hu...

chand lamho ki chhaap liye
ek umar samet raha hu....

bas yu hi apni dhun mai besudh
tukde jod raha hu.........

From darkness to light

Andhero ke iss saaye mai
Hum roshni talashte hai...................

Yeh kaunsa manzar hai
yeh kaisa toofan hai...
Andhero ke saaye mai
yeh raahein sunsaan hai...

Waqt ki dhadkan ko kyo pakad naa paaye hum
taqdeer ke panno ko palat naa paaye hum

Jaan kar bhi jaante nahi apna gum
kaisa bebasi ka hai yeh aalam....

Jism mai daudta hai lahu
par jaan gaayab hai
khulti hai yeh aankhein
par, roshni nahi aati
lete hai saans magar
Zindagi ki khushboo nahi aati.

Chale kiss aur the.... Aaa gaye kisss paaar...
Dekho doob naa jaaye humaari qashti...
Badi tez hai ye majhdhaaar

Lahron ki maujo mai bhool gaye..
humaari manzil hai kisss paar...

Tamanna kahti hai ki har mod par
rah jaaye tera ye nishaan...
Yeh pyaar nahi aasan meri jaan
Yeh pyaar nahi aasan.....


Walking into the light. Roshni ki taraf yeh kadam hai.
With her love in my sight...................................